Announcement

Collapse
No announcement yet.

Jo Bhi is masjid main kadam rakhega wo Jannati aur uska iman par khatma hoga

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Jo Bhi is masjid main kadam rakhega wo Jannati aur uska iman par khatma hoga

    Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gunjmuradabadi(rahmatullah alaih) se kisi ne pucha ki huzoor-e-ala hamare yahan jannati darwaza kyu nahi hai jaise aur mazaron par hai, Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gunjmuradabadi(rahmatullah alaih) ne irshad farmaya ki ye wo masjid hai jahan Mohammad Mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) aksar tashrif late hai aur Mohammad Mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ne is masjid main namaz bhi padhi hai (SubhanAllah). Isi Tarah Panjatan Pak ka gharana, Hazrat Ibrahim (Alaih Salam) aur unki biwiyan, Hazrat Isa (Alaih Salam), Khwaja Khizar (Alaih Salam) aur deegar Nabi aur Auliya Allah aksar is masjid main ate rahey hai. Jannati Darwaze karke is masjid ke afzalifat mehdod hojati. Jo koi is masjid main kadam rakhega uska iman par khatma hoga, aur jo koi is masjid main khadahokar jo dua mangega wo inshaAllah zaror kabool hogi.

    Aur jo koi is masjid main namaz ada karta rahega uske liye jannat paki hai.

    Dada Miya Rehmatuallah Miyan Sahab jo Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gunjmuradaabadi(rahmatullah alaih) ke Pote hai unse bhi yahi malum hua hai. Aap farmate hai Yahan Huzoor Gaus-e-Pak(Radi Allahu anhau), Hazrat Nizamuddin Aulia(rahmatullah alaih) aur digar aulia-e-karam aksar tashrif late the. Maulvi Sayed Mohammad Ali Mungeri(rahmatullah alaih) farmate hai ki unhone khud masjid Fazl-e-Rehmani main Mujaddid Alif Sani(rahmatullah alaih) aur Huzoor Gaus-e-Pak(Radi Allahu anhau) ko tashrif farma dekha hai.
    Yahi wo cheez hai jis ko samajh kar dil ye kehne par majboor hojata hai ki

    "Nabi Se Is Kadar Maksoos Ye The Qurb Nisbat Main,
    Ke Karta Tha Khatir Fazl-e-Rehman, Fazl-E-Rehman Ki,
    Khuda Ke Panjatan Ke Char Yaro Ke Hasin Jalwe,
    Janab Fazl-e-Rehman Mai Hai Panah Dekhne Wale" (SubhanAllah).


    Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gunjmuradabadi (rahmatullah alaih) ke puri biography padhne e liye is niche diye huye link par click karain:

    http://www.silsila-e-rehmani.com/[/url]

    pic of the masjid:



  • #2
    Hadrat Anas Radi ALLAH Taala Anhu reported that the Messenger of Allah Peace And Blessings Be Upon Him has said, “Everything has a heart, and the heart of the Qur’an is Yasin. Allah records anyone who recites Yasin as having recited the Qur’an ten times.”
    [Sunan Tirmidhi, Vol 2, Page 116 - Sunan Daarimi, Vol 2, Page 336]

    Comment


    • #3
      jazakallah

      Comment


      • #4
        jazak Allah Khair
        sigpic

        Comment

        Working...
        X