Hazrat Shah Shuj'a kirmaani ki aik beti thi jinka rishta aik Badshah ne manga magar unhon ne manzoor na kia. phir aik ghareeb naik bakht larkay ko achi tarha namaz parhty dekh kar is se nikkah kar dia. Sahib zaadi rukhsat ho kar shohar k ghar aain tu aik ssokhi hui roti rakhi hui dekh kar poocha ye kia ha? larky ne kaha raat ko bach gai thi roza kholny k liye rakh li; ye sun kar wo ulty paaon peechy hatein. Larka bola me pehly hi jaanta tha bhala shah shuja ki beti meri ghareebi par kiun kar raazi ho gi?
wo boli Shah shuj'a ki beti ghurbat pr naraaz nahi ha balky naraz ha k tumhain khuda par bhrosa nahi ha aur mujy apny Walid par bhi ta'ajub ha k mujh se tumhaary mutalik ye kaha k boht naik aur paarsa nojwaan ha. Bhala jisy khuda par bhrosa na ho wo naik aur paarsa kesy ho sakta ha?
nojwaan uzr karny laga tu kehny lagein" uzr tu me jaanti nahi ghar me. mein rahon gi ya ye roti rahy gi. us nojwan ne foran wo roti khairaat ki tab kahin wo chain se ghar me bethien.

Comment