Tere hote janam liya hota
koi mujhsa na dosra hota
saans laita tou aur main ji utH-ta
kaash makkah ki mai fiza hota
hijratoN meiN paRRao hota mai
aur Tu kuch daer ko ruka hota
Tere hujre ke aas paas kaheen
mai koi kacha raasta hota!!!!!!
beech ta-if ba-waqt e sang-zani
Tere labb pe saji duaa hota
kisi ghazwa meiN zakhmi ho ke mai
Tere qadmoN meiN aa gira hota
kaash uhad meiN shareek ho sakta
aur baqi na pHir bacha hota
Teri pakeeza zindagi ka mai
koi gumnaam waqia hota
mai koi jangju arab hota
aur Tere saamne jHuka hota
paani hota udaas chashmoN ka
Tere qadmoN pe beh gaya hota
poda hota mai jalte sehra meiN
aur Tere haath se laga hota
paeR hota kHajoor ka mai koi
jisska pHall Tu ne kHaa liya hota
tukRa hota mai aik baadil ka
aur Tere saath gHoomta hota
aasmaaN hota ehd-e-Nabvi ka
Tujh ko hayret se dekHta hota
bacha hota ghareeb baywa ka
sarr Teri goad meiN chHupa hota
rasta hota Tere guzarne ka
aur Tera rasta dekHta hota
butt hi hota mai Khana kaa'ba meiN
jo Tere haath se fana hota
mai bhi hota Tera ghulaam koi
laakH kehta na mai rihaa hota
chob hota mai Teri chokHat ki
ya Tere haath ka asaa hota
khaak hota mai Teri galiyoN ki
aur Tere paaouN choomta hota
soot hota mai Teri chaadar ka
aur Tere shaanoN pe jHoolta hota
mujh ko Khaaliq banata ghaar ~hasan
aur mera naam bhi hira hota
Sal Allaho Alehi Wasallam
koi mujhsa na dosra hota
saans laita tou aur main ji utH-ta
kaash makkah ki mai fiza hota
hijratoN meiN paRRao hota mai
aur Tu kuch daer ko ruka hota
Tere hujre ke aas paas kaheen
mai koi kacha raasta hota!!!!!!
beech ta-if ba-waqt e sang-zani
Tere labb pe saji duaa hota
kisi ghazwa meiN zakhmi ho ke mai
Tere qadmoN meiN aa gira hota
kaash uhad meiN shareek ho sakta
aur baqi na pHir bacha hota
Teri pakeeza zindagi ka mai
koi gumnaam waqia hota
mai koi jangju arab hota
aur Tere saamne jHuka hota
paani hota udaas chashmoN ka
Tere qadmoN pe beh gaya hota
poda hota mai jalte sehra meiN
aur Tere haath se laga hota
paeR hota kHajoor ka mai koi
jisska pHall Tu ne kHaa liya hota
tukRa hota mai aik baadil ka
aur Tere saath gHoomta hota
aasmaaN hota ehd-e-Nabvi ka
Tujh ko hayret se dekHta hota
bacha hota ghareeb baywa ka
sarr Teri goad meiN chHupa hota
rasta hota Tere guzarne ka
aur Tera rasta dekHta hota
butt hi hota mai Khana kaa'ba meiN
jo Tere haath se fana hota
mai bhi hota Tera ghulaam koi
laakH kehta na mai rihaa hota
chob hota mai Teri chokHat ki
ya Tere haath ka asaa hota
khaak hota mai Teri galiyoN ki
aur Tere paaouN choomta hota
soot hota mai Teri chaadar ka
aur Tere shaanoN pe jHoolta hota
mujh ko Khaaliq banata ghaar ~hasan
aur mera naam bhi hira hota
Sal Allaho Alehi Wasallam
Comment