Announcement

Collapse
No announcement yet.

sallu ‘alaihi wa alihi

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • sallu ‘alaihi wa alihi

    Aye Khatam e Rusul, Kaba e Maqsood tu hee
    Dar surat e har chay hast maujood tuhi.
    Aayat e kamal e haq ayan nastbato
    Azaat kay darpardah nihaan bood tuhi.
    Suhani raat thi, x2
    Aur pur’sukoon zamana tha,
    Asar mein dooba hua jazb e aashiqana tha
    Unhein to arsh main mehboob ko bulana tha,
    hawas thi deed key mairaj ka bahana tha.
    Sarela makan se talab hui,
    Sue e muntaha woh chale Nabi.
    Yeh kamal e husn ka mojza,
    Ke firaaq o haq bhi na seh saka.
    Sir e la makan se talab huwi
    Sue e muntaha woh chalay Nabi.
    Shab e Mairaj liya arsh e bareen per bulwaye
    Sadma e hijr Khuda say bhi gawara na huwa.
    Sir e la’makaan se talab howi
    Su e muntaha wo chalay Nabi.
    Koi had hai unkay urooj key, balaghal ula be kamalehi
    Sir e la’makaan se talab huyee, koi had hai unke urooj ki.
    Khair ul Wara, Sadr ud Duqa, Najm ul Huda, Noor ul Ula
    Shams ud Duha, Badr ud Duja, Ya’ani Mohammad Mustafa.
    Koye had hei unkay uroj key … x4
    Khair ul vara, sader ud Duka, Najm ul Huda, Noor ul Ula
    Shams ud Duha, Bader ud Duja, Yani Muhammad mustufa.
    Aaqa rawa salare deen, Ya Rehmat Al Lil Aala Meen
    Aa muqtuda e mursaleen, aa peshwa e ambiya
    Jannat nishan e qoouet to, wash shams eeman ro e to
    Wallail wasf e loe to, khubi ye ruyat badduha
    Is mein to is mein aazmi, jis main to jaan e alami
    Zaat e to fakhr e aadmi, shaan e to shaan e kibriya.
    Koi had hai unke urooj ki … x4
    Jo gaya hai farsh say arsh tak, woh burak to lay gaya bedharak
    Tabaqay zameen waraq e falaq, gaye neeche paaon say pursarak
    Latein zulf key jo gayi latak, to jahan sara gaya mehak
    Hoye must bulbulay is qadar, to yeh ghunche bole chatak chatak.
    Koi had hai unke urooj ki … x4
    Gaye ghar say charh kay burraq per
    Shab e wasl rukh say howi sahar
    Yeh safar tha khoob se khoobtar
    Yeh he tha her ik ki zaban per.
    koi had hai unke urooj ki … x4
    koi had hai unke urooj ki, balaghal ula be kamalehi
    Yeh hi ibtida yeh hee intiha, yeh farogh jalwa e haq numa
    Ke jahaan sara chamak utha, kasha fad duja bejamalehi
    Rukh e mustafa ki yeh roshni, yeh tajallion ki hama hami
    ke her ik cheez chamak uthi, Kasha’fad dujaa bijamaalihi
    Kay har eik cheiz chamak uthi … x4
    Kasha fad dujaa bijamaalihi
    Na falak, na chand tare, na saher, na raat hoti
    Na tera jamal hota, na yeh kainaat hoti.
    Ke her ik cheez chamak uthi … x3
    Kasha fad dujaa bijamaalihi
    Woh sarapa rehmat e kibriya, ke her ik pay jis ka karam howa. Aaa (Sufi Chants…)
    Yeh Quran e paak hai barmala, hasonat jamiyo khisalehi
    Yeh kamal e haq e muhammadi, key her ik pe chashm e karam rahi
    Sir e hashar nara e ummati, Hasunat jami’u khisaalihi.
    Wohi haqnigar wohi haqnuma, rukh e mustafa hai wo aaina
    Ke Khuda e Paak nay khud kaha, Sallu ‘aleyhi wa aalihi
    Mera deen ambar e warsi, baKhuda hai ishq e mohammadi. Aaa (Sufi Chants…)
    Mera zikr o fikr hai bus yehi, sallu ‘aleyhi wa aalihi.
    sallu ‘alaihi wa alihi … x4
    Che kunam bayane kamaleo, balaghal ula be kamalehi
    Che farogh karda jamaleho, Kasha fad dujaa bijamaalihi
    mun hairatamza khisaleho, Hasunat jami’u khisaalihi
    dil o jaan e maba khayaleho, Sallu ‘aleyhi wa aalihi.
    sallu ‘alaihi wa alihi … x4
    Aie mazhar e noor e Khuda, balaghal ula be kamalehi
    Maula Ali mushkil kusha, Kasha faduja bijamaalihi
    Hasnain jaan e fatima, Hasunat jami’u khisaalihi
    Yani Mohammad Mustafa, Sallu ‘aleyhi wa aalihi
    sallu ‘alaihi wa alihi … x4

  • #2
    Hadrat Anas Radi ALLAH Taala Anhu reported that the Messenger of Allah Peace And Blessings Be Upon Him has said, “Everything has a heart, and the heart of the Qur’an is Yasin. Allah records anyone who recites Yasin as having recited the Qur’an ten times.”
    [Sunan Tirmidhi, Vol 2, Page 116 - Sunan Daarimi, Vol 2, Page 336]

    Comment


    • #3
      Nice poetry!! I wish I could write some
      Last edited by Ahxulu; 07-28-2012, 01:03 PM.
      Hijabs and Abayas from Inayah Collection

      Comment


      • #4
        Jazak Allah
        sigpic

        Comment

        Working...
        X