Announcement

Collapse
No announcement yet.

Hadith- Allah says : Mujhse khana maango, Mujhse kapda mango, Mujhse raah maango, ma

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Hadith- Allah says : Mujhse khana maango, Mujhse kapda mango, Mujhse raah maango, ma

    Hadith- Allah says : Mujhse khana maango, Mujhse kapda mango, Mujhse raah maango, main tumhey dunga









    Copy below islamic messages and send it to your messenger friend list so that it may become Sadqa-e-zariya for us.
    English Translation:
    Abu Dharr Radi allaho anho reported Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying that Allah, the Exalted and Glorious, said: My servants, I have made oppression unlawful for Me and unlawful for you, so do not commit oppression against one another. My servants, all of you are liable to err except one whom I guide on the right path, so seek right guidance from Me so that I should direct you to the right path. O My servants, all of you are hungry (needy) except one whom I feed, so beg food from Me, so that I may give that to you. O My servants, all of you are naked (need clothes) except one whom I provide garments, so beg clothes from Me, so that I should clothe you.
    O My servants, you commit error night and day and I am there to pardon your sins, so beg pardon from Me so that I should grant you pardon. O My servants, you can neither do Me any harm nor can you do Me any good. O My servants, even if the first amongst you and the last amongst you and even the whole of human race of yours, and that of jinns even, become (equal in) God-conscious like the heart of a single person amongst you, nothing would add to My Power. O My servants, even if the first amongst you and the last amongst you and the whole human race of yours and that of the Jinns too in unison become the most wicked (all beating) like the heart of a single person, it would cause no loss to My Power.
    O My servants, even if the first amongst you and the last amongst you and the whole human race of yours and that of jinns also all stand in one plain ground and you ask Me and I confer upon every person what he asks for, it would not. in any way, cause any loss to Me (even less) than that which is caused to the ocean by dipping the needle in it. My servants, these for you I shall reward you for thern, so he who deeds of yours which I am recording finds good should praise Allah and he who does not find that should not blame anyone but his ownself. Sa'id said that when Abu Idris Khaulini narrated this hadith he knelt upon his knees.
    Sahih Muslim Book 032, Number 6246:
    ---------------------------------------------------------------
    Urdu Translation:
    Abu dhar Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho Alaihey wasallam se suna ki Allah taala ne farmaya ek mere bando mainey zulm ko apney upar haram kiya hai aur tum par bhi haram kiya to mat zulm karo aapas mein ek dusrey par , Eh mere bando tum sab gumraah ho magar jisey main raah batlauu , to mujhse Raah mango main tumhey raah batlaunga, Ek mere bando tum sab bhukey (hungry) ho magar jisey main khilauu to mujhse khana mango tumko khilaunga, Eh mere bando tum sab nangey ho magar jisey main pahnauu, to kapda mango mujhse main pahnaunga tumko.
    Ek Mere bando tum raat din gunaah kartey ho aur main sab gunaahon ko bakhshta hun to bakhshish chaho mujhse main bakhshunga tumko, Eh mere bando tum mera nuksaan nahi kar saktey aur na mujhko faayda pahuncha saktey ho. Agar tumharey agley aur pichley aur aadmee aur jinnat sab aisey ho jaaye jaisey tum mein ka bada parhezgar to meri saltanat mein kuch afzayeesh (Addition) na hogi aur tum mein agley aur peechely aur admee aur jinnat sab aisey ho jaye jaisey zameen ka bada badkar shaksh to meri Saltanat mein se kuch kam na hoga.
    Eh mere bando agar tumharey agley, pichley aur aadmee aur Jinnat sab ek maidan mein khadey ho phir mujhse maangna shuru karey aur main har ek ko jitna maangey de du tab bhi mere paas jo kuch hai wo kam na hoga magar itna jaisey dariya mein suyee daal kar nikal lo.Eh mere bando ye tumharey hi aamal hain jinko tumharey liye shumar karta rahta hun phir tumko in aamal ka pura badla dunga to jo shaksh behtar badla paye usey chahiye ki Allah ka shukr karey ki uski kamaii bekar na gayee aur jo bura badla paye to apney hi aapko bura samjhey.
    Said ne kaha ki Abu idris jab ye hadith bayan kartey to apney ghutno ke bal gir padtey.
    Sahih Muslim, Neki Suluq aur Adab ke masayeel (6572)

  • #2
    beautiful hadith

    Comment


    • #3
      jazakAllah brother
      میں نےجو کیا وہ برا کیا،میں نے خود کو خود ہی تباہ کیا

      جو تجھے پسند ہو میرے رب،مجھے اس ادا کی تلاش ہے

      http://www.123muslim.com/discussion-...d-arround.html

      Comment


      • #4
        JazakAllah
        sigpic

        Comment

        Working...
        X