11 - Meri Hi Ibadat Karein Ka Kya Maaney Hain ??
Ans

Sirf Meri Hi Ibadat Karein Meri Ibadath Me Kisi Ko Shareek Naa Karein.
12 - Touheed Kiya Hai ??
Ans

Sirf Ek ALLAH Hi ki Ibadat Karna ..
13 - Jin Cheezoun {Gunah} Se ALLAH TALAH Ne Roka Hai Inn Me Sab Se Badi Cheez{Gunah} Kya Hai??
Ans

Wo shirk Hai Aur Shirk Ki 2 Qismein Hain
EK Ye Ke ALLAH KE Siwa Kisi Ko Pukara Jaye,
Doosra ALLAH TALAH Ko Pukarne Ke Sath Sath Kisi Doosre Ko Bhi Pukara Jaye
14 - Ibadat Kis Ko Kehte Hain ??
Ans

Ibadat Ek Aisa Jamaa Naam Hai Jo Aqwaal Aur Zahar Wo Poshida Aamal Shamil Hai, Jo ALLAH Ke Nazdeek Mehboob Woh Pasandeedah Hain
15 - Ibadat Ke Iqsaam Kya Hain ??
Ans

Ibadat Ki Bohut Si Qismein Hain, Jinme Chand Ek Ye Bhi Hain,
Dua .Khouff.Umeed.Tawakkal
Raghbat.Darr.Qushoo.Rujoo
Madad Maangna . Faryaad karna.
Dabajh Aur Nazar Wo Niyaaz ..
16 - iss Shaqs Ke Liye Kya Hukm Hai Jo Mazkoorah Ibadath Me Se Kisi Ibadath Ko Allah talah Ke Siwa Kisi Ke Sath Wabista Kare ???
Ans

Woh Mushrikk Kafir Hai .
{Aur jo koi ALLAH Ke Sath Kisi Aur Mabood Ko Bhi pukare Halanke Is Ke Paas Is Ki Koi Daleel Nahi Toh YaqeenanIska Hisaab Is Ke Rabb Ke Paas Hai, Yaqeenan Kaafir Nijaat Nahi Payega}
17 - Allah Talah Ke Farayez Me Se Pehli Kounsi Cheez Hum Par Farz Hai ?
Ans

Allah Talah Par Emaan Rakhna ..
{Deen Me Koi Zabardasti Nahi,Ke Taqat Se Kisi Ko Islaam Me Laya Jaaye, Tahqeeq Hidayat ki Raah Gumrahi Se Alag Ho chuki Hai, So Jo Koi Jhoote Maboodoun Se Kufr Kare Aur {Akele Sache} ALLAH {Mabood} Par Imaan Le Aaye Toh Yaqeenan Is Ne Aisa Mazboot Sahara Pakda Jo Hargizz Naa Tootega, Aur ALLAH TALAH Khoob Sunne Wala Khoob Janne Wala Hai}
18 Yeh Mazboot Sahara Kya Hai ??
Ans

Iss Se Muraad La Ilaha Illalahu.
19 La ilaha illalahu ke Kya Maaney Hain??
Ans

Aam Har {Jhoote} Mabood Ki Nafi Aur Qas Sache Mabood ALLAH Ka Asbaat .
20 Tera Deen Kya Hai ??
Ans

Mera Deen islam Hai Aur Woh Akele ALLAH keliye Apne Aapko Sonpna Aur Iski Itaat Keliye Mateeh Hona Aur Shirk Se Durr Rehna.....
Aaye ALLAH Humari Tamaam Ibadatoun Aur Roze Aur Duaoun Ko Qabool Farma.....Ameeeeeen