Announcement

Collapse
No announcement yet.

Hadith :Gustaakh-e–Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki Saza

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Hadith :Gustaakh-e–Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki Saza


    Hadith :Gustaakh-e–Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki Saza
    (Punishment for the insult of Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam )




    Urdu Translation:
    Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek shaksh pahley Esaayee ( Christian) tha , phir wo Islam mein Dakhil ho gaya tha , usney Surah baqra aur Aal-e-Imran par li phir wo Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ka munshi ( unkey liye likhney wala) ban gaya , phir wo shaksh murtad ho gaya aur Esaayee ban gaya aur kahney laga ki Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ko jo kuch mainey likh diya hai uskey siwa unhey kuch bhi malum nahi , phir Allah ke hukm se usey Maut aa gayee, aur uskey aadmeeyon ne usey dafan kar diya jab subah huyee to sabney dekha ki uski laash Qabr se nikal kar zameen ke upar pari hai, Eesaeeyon ne kaha ki ye Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam ) aur uskey saathiyon ka kaam hai , kyunki uska deen isney chor diya tha, isliye unhoney iski Qabr khodi hai, aur laash ko bahar nikal kar phenk diya hai, phir unhoney dusri Qabr khodi jo bahut ziyada gahri thi, lekin jab subha huyee to phir laash bahar thi is baar bhi unhoney yahi kaha ki ye Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam ) aur unkey saathiyon ka kaam hai , kyunki uska deen isney chor diya tha, isliye unhoney iski Qabr khodi hai, aur laash ko bahar nikal kar phenk diya hai, phir unhoney Qabr khodi aur jitni gahri unkey bas mein thi karkey uskey andar daal diya, lekin subah huyee to phir laash bahar thi, ab unhey yakeen aa gaya ki ye kisi insaan ka kaam nahi ( bulki ye mayyat Azab-e-ilahi mein giraftar hai) phir unhoney isey yu hi (zameen par) daal diya
    Sahih Bukhari, Fazilaton ka Bayan, 3617



    English Translation:
    Narrated By Anas Radiallaho anho : There was a Christian who embraced Islam and read Surat-al-Baqara and Al-Imran, and he used to write (the revelations) for the Prophet. Later on he returned to Christianity again and he used to say: "Muhammad knows nothing but what I have written for him." Then Allah caused him to die, and the people buried him, but in the morning they saw that the earth had thrown his body out. They said, "This is the act of Muhammad and his companions. They dug the grave of our companion and took his body out of it because he had run away from them." They again dug the grave deeply for him, but in the morning they again saw that the earth had thrown his body out. They said, "This is an act of Muhammad and his companions. They dug the grave of our companion and threw his body outside it, for he had run away from them." They dug the grave for him as deep as they could, but in the morning they again saw that the earth had thrown his body out. So they believed that what had befallen him was not done by human beings and had to leave him thrown (on the ground).
    Sahih Bukhari, ,Vol 4, Book 56. Hadith 814.



    Join Quran hadith Group on facebook
    https://www.facebook.com/groups/161640767217314/


    Allahumma Salley ala Mohammed Wa Aal-e-Mohammed (Sallallaho Alaihey Wasallam)

    If you are Receiving this email as a forwarded message, then click here to join this group

  • #2
    Jazaak Allahu khyr...........
    Haiderium Qalandram Mastam
    Banda e Murtaza Ali Hastam
    Peshwa e tamam Rindanam
    Ke Sag e Koo e Sher e Yazdanam

    also visit www.aulia-e-hind.com for shrines across world

    Comment

    Working...
    X