Announcement

Collapse
No announcement yet.

Naats Lyrics Database

Collapse
This is a sticky topic.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    May So Jaoo Ya Mustafa () Kehtey Kehtey

    May so jaoo Ya MUSTAFA () kehtey kehtey

    Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey

    Sitam pay Sitam seh gaey dushmano kay

    Habeeb-e-KHUDA, Ya KHUDA kehtey kehtey

    May so jaoo Ya MUSTAFA() kehtey kehtey

    Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey

    Guzarte thay kaantey bharrey raasto say

    RASOOL-e-KHUDA, Marhaba kehtey kehtey

    May so jaoo Ya MUSTAFA () kehtey kehtey

    Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey

    Huwey surkhuru Aap her maarkey may

    Fakat Rabbana , Rabbana kehtey kehtey

    May so jaoo Ya MUSTAFA () kehtey kehtey

    Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey

    Shahe her do Aalam ne naam-e-jabee say

    Bhara paet shukrey KHUDA kehtey kehtey

    May so jaoo Ya MUSTAFA () kehtey kehtey

    Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey

    Andheiroo may ham ne kiya hay ujaala

    Aqeedat sey Noor-ul-Huda kehtey kehtey

    May so jaoo Ya MUSTAFA () kehtey kehtey

    Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey

    Dilley muztarib ko qaraar aagya hay

    Shabo roz Ya MUJTABA () kehte kehte

    May so jaoo Ya MUSTAFA () kehtey kehtey

    Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey

    Museebat kay maaro kathan manzillo say

    Guzer jaoo Ya Mustafa kehtey kehtey
    Hadrat Anas Radi ALLAH Taala Anhu reported that the Messenger of Allah Peace And Blessings Be Upon Him has said, “Everything has a heart, and the heart of the Qur’an is Yasin. Allah records anyone who recites Yasin as having recited the Qur’an ten times.”
    [Sunan Tirmidhi, Vol 2, Page 116 - Sunan Daarimi, Vol 2, Page 336]

    Comment

    • #47
      Mayri baat ban gaii he

      Mayri baat ban gaii he tayri baat kartay kartay
      Tayray shehr mayn meyn aa-oon tayri naat parrtay parrtay

      Tayray ishq ki badolat mujhay zindagi mili he
      Mayray paas bhi he aaii mayri moat dartay dartay

      Kiss cheez ki talab he na he aarzoo hi koii
      Toon nay itna bhar diya he kashkol bhartay bhartay

      Mayray soonay soanay ghar ko kabhi naymatayn ataa kar
      Meyn divana ho gaya hoon tayri raah taktay taktay

      Meyn na ja-oon ga o darbaar kabhi chhoarr kar yay galiyaan
      Kay, meyn poancha hoon yahaan tak mayray yaar martay martay

      He jo zindgaani baaqi yay irada kar liya he
      Tayray mukiron say aaqa meyn maroon ga larrtay larrtay
      Hadrat Anas Radi ALLAH Taala Anhu reported that the Messenger of Allah Peace And Blessings Be Upon Him has said, “Everything has a heart, and the heart of the Qur’an is Yasin. Allah records anyone who recites Yasin as having recited the Qur’an ten times.”
      [Sunan Tirmidhi, Vol 2, Page 116 - Sunan Daarimi, Vol 2, Page 336]

      Comment

      • #48
        Mein Madine chala

        Mein Madine chala, Mein Madine chala
        Phir karam hogaya, Mein Madine chala

        Saaqiya meh pilaa, Mein Madine chala
        Masto be khud bana, Mein Madine chala

        Kaif-sa chaa gaya, Mein Madine chala
        Jhoomta jhoomta, Mein Madine chala

        Kya bata-o mili, dil ko kayse kushi
        Jub ye meine suna, Mein Madine chala

        Muskuraane lagi, mere dil ki gali
        Guncha guncha kila, Mein Madine chala

        Phir ijaazat mili, jub khabar ye suni
        Dil mera jhoomta, Mein Madine chala

        Ashke thamte nahi, pau jhamte nahi
        Lar karata huwa, Mein Madine chala

        Meray ganday kadam or un ka haram
        Laaj rakhna Khuda, Mein Madine chala

        Ay shajar ay hajar, tum bi shamso kamar
        Dheko dheko zara, Mein Madine chala

        Dekh thare mujhe, ye nazare mujhe
        Tum bi dheko zara, Mein Madine chala

        Rooh he muztar teher, tu nikalna udhar
        Itni jaldi he kya, Mein Madine chala

        Haath uthe rahe, mujh ko dethe rahe
        Woh talab se siwaa, Mein Madine chala

        Mere Akaa ka ghar, wo ga peshe nazar
        Chaahiye aur kya, Mein Madine chala

        Mere Siddique Umar, wo Salaam aap par
        Aur rehmat saada, Mein Madine chala

        Woh Uhud ki zamin, jis ke andar makin
        Mere Hamza piyaa, Mein Madine chala

        Ghumbade subz par, jub paregi nazar
        Kya suroor aayega, Mein Madine chala

        Unke Minaar par, jub pare gi nazar
        Kya suroor aayega, Mein Madine chala

        Mimbare noor par, jub uthe gi nazar
        Kya suroor aayega, Mein Madine chala

        Mustapha ke Huzoor, apne sare qusoor
        Baksh wale chala, Mein Madine chala

        Kya karega idhar, band rakhte safar
        Chal Ubaid-e Raza, Mein Madine chala

        Kya ye tune kaha, ai Ubaid-e Raza
        Sonch to kuch zara, Mein Madine chala

        Lutf to jub mile, mere Murshid kahi
        Chal Ubaid-e Raza, Mein Madine chala

        Rehmat-e jhoom kar, barse ataar par
        Behre Ahmad Raza, Mein Madine chala
        Hadrat Anas Radi ALLAH Taala Anhu reported that the Messenger of Allah Peace And Blessings Be Upon Him has said, “Everything has a heart, and the heart of the Qur’an is Yasin. Allah records anyone who recites Yasin as having recited the Qur’an ten times.”
        [Sunan Tirmidhi, Vol 2, Page 116 - Sunan Daarimi, Vol 2, Page 336]

        Comment

        • #49
          Mera dil aur meri jaan Madinay waley

          Mera dil aur meri jaan Madinay waley

          Tujh peh sow jaan sey qurbaan Madinay waley

          Bhar dey bhar dey meray Aqa meri jholi bhar dey

          ab na rukh bey sar-o-samaan Madinay waley

          Tera dar chowr kai jaaun tho kahan jaaun mein

          meray Aqa meray Sultaan Madinay waley

          Phir thamanaey ziyarath ney kiya dil beychaeyn

          phir Madinay ka hai armaan Madinay waley

          Sabz Ghunbad ki fazaaon mey bula lo mujh ko

          tera ghaafil hei pareeshan Madinay waley

          Likh dey likh dey meri qismat mey Madinay likh dey

          hai teri milk qalamdaan Madinay waley

          Sag-e-Taibah mujhay sab kahe key pukaray Baydam

          yahi rakhein meri pehchaan Madinay waley
          Hadrat Anas Radi ALLAH Taala Anhu reported that the Messenger of Allah Peace And Blessings Be Upon Him has said, “Everything has a heart, and the heart of the Qur’an is Yasin. Allah records anyone who recites Yasin as having recited the Qur’an ten times.”
          [Sunan Tirmidhi, Vol 2, Page 116 - Sunan Daarimi, Vol 2, Page 336]

          Comment

          • #50
            Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi hai

            Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi hai, Teri Rah Main Akhiyan Bichchate Bichchate

            Teri Hasraton Main,Teri Chahton Main Bade din Howe Ghar Sajaate Sajaate

            Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi hai

            Mera Yeh hai Emaan,Yeh Mera Yakeen Hai -Mere Mustafa Sa Na Koi Haseen Hai

            Ke Rukh Unka Dekha Hai Jabse Qamar Ne Nikalta Hai Moo Ko Chupate Chupate

            Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi hai

            Qayamat Ka Manzar Bada Purkhatar Hai - Magar Mustafa ka Jo Deewana Ho Ga

            Who Pul Pay se Guzre Ga Masroor Ho Ke - Naara Nabi Ka Lagate Lagate

            Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi hai

            Mere Lab Pe Mola,Na Koi Sada Hai - Fakat Mujh Nikamme ki Yeh Hi Dua Hai

            Meri Saans Nikle Dar-e- Musftafa Pe - Gham-e-Dil Nabi Ko Sunate Sunate

            Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi hai, Teri Rah Main Akhiyan Bichchate Bichchate

            Teri Hasraton Main,Teri Chahton Main Bade din Howe Ghar Sajaate Sajaate

            Yeh Mana ke Ek Din Aani Kaza Hai - Magar Dosto Tumse Yeh iltaja Hai

            Ke Shehr-e-Muhammad Ki Har Ek Gali Se - Jaza Uthana Ghumaate Ghumaate

            Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi hai, Teri Rah Main Akhiyan Bichchate Bichchate

            Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi hai

            Na Kaabe Se Matlab Na Masjid ki Chahat - Fakat Dil Main Haakim Tamanna Yahi Jo Mil Jaaye Naksh-e-Kafay Paaye Ahmed -Tu Mar Jaayen Sir ko Jhukate Jhukate

            Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi hai, Teri Rah Main Akhiyan Bichchate Bichchate

            Teri Hasraton Main,Teri Chahton Main Bade din Howe Ghar Sajaate Sajaate

            Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi hai
            Hadrat Anas Radi ALLAH Taala Anhu reported that the Messenger of Allah Peace And Blessings Be Upon Him has said, “Everything has a heart, and the heart of the Qur’an is Yasin. Allah records anyone who recites Yasin as having recited the Qur’an ten times.”
            [Sunan Tirmidhi, Vol 2, Page 116 - Sunan Daarimi, Vol 2, Page 336]

            Comment

            • #51
              Meri barbaad basti ko basa do ya rasulallah

              Meri barbaad basti ko basa do ya rasulallah

              Kinaray par meri kashti laga do ya rasulallah

              Merey tareek dil par nuur ki basaat ho ja-ay

              Merey qalb a syaah ko jagmaga do ya rasulallah

              Ghira huun marz e issiyaan mayn gariftar e masa-ib huun

              Mujhay iss qeyd say lillah bacha do ya rasulallah

              Mera maskan madina ho mera madfan madina ho

              Mera seena madina hi bana do ya rasulallah

              yeh ankheyn aap key deedar ki talib hai muddath say

              ruhay par nuur say pardah hata do ya Rasulullah
              Hadrat Anas Radi ALLAH Taala Anhu reported that the Messenger of Allah Peace And Blessings Be Upon Him has said, “Everything has a heart, and the heart of the Qur’an is Yasin. Allah records anyone who recites Yasin as having recited the Qur’an ten times.”
              [Sunan Tirmidhi, Vol 2, Page 116 - Sunan Daarimi, Vol 2, Page 336]

              Comment

              • #52
                Meri Dharkan Mein Ya Nabi

                Meri Dharkan Mein Ya Nabi
                Meri Saanson Mein Ya Nabi
                Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi

                Koi Guftugu Ho Lab Par Tera Naam Agaya Hai
                Teri Midha Kartay Kartay ye Maqaam Agaya Hai

                Meri Dharkan Mein Ya Nabi
                Meri Saanson Mein Ya Nabi
                Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi

                Dar-e-Mustafa Ka Manzar Meri Chasm-e-Tar Ke Andar
                Kabhi Subhu Agaya Hai Kabhi Shaam Agaya Hai

                Meri Dharkan Mein Ya Nabi
                Meri Saanson Mein Ya Nabi
                Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi

                Ye Talab Thei Ambiya Ki Rukh-e-Mustafa Ko Dekhein
                Ye Namaz Ka Waseela Unhe Kaam Agaya Hai

                Meri Dharkan Mein Ya Nabi
                Meri Saanson Mein Ya Nabi
                Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi

                Do Jahan Ki Ne'matoon Se Tere Dar Se Jo Bhi Maanga
                Mere Daaman-e-Talab Mein Woh Tamaam Agaya Hai

                Meri Dharkan Mein Ya Nabi
                Meri Saanson Mein Ya Nabi
                Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi

                Jisse Pee Ke Sheikh Saadi Balaghal Ula Pukarain
                Mere Dust-e-Natawan Mein Wohi Jaam Agaya Hai

                Meri Dharkan Mein Ya Nabi
                Meri Saanson Mein Ya Nabi
                Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi

                Woh Adeeb Jisne Mehshar Mein Bipa Kiya Hai Mehshar
                Woh Kaheingay Aao Dekho Ye Ghulam Agaya Hai

                Meri Dharkan Mein Ya Nabi
                Meri Saanson Mein Ya Nabi
                Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi
                Hadrat Anas Radi ALLAH Taala Anhu reported that the Messenger of Allah Peace And Blessings Be Upon Him has said, “Everything has a heart, and the heart of the Qur’an is Yasin. Allah records anyone who recites Yasin as having recited the Qur’an ten times.”
                [Sunan Tirmidhi, Vol 2, Page 116 - Sunan Daarimi, Vol 2, Page 336]

                Comment

                • #53
                  Milaad ka mosam ayaa hai

                  Khushiyon ka sawan layaa hai milaad ka mosam aaya hai
                  Ik kaif sa chaaya hai milad ka mosam aaya hai

                  Ab chaak jighar se silthey hain ghunchey khushiyon ke khithay hain
                  Ab fazal o karam ka saya hai milaad ka mosam aaya hai

                  Ghilmaan o malaik janat ko kuch aur mazeeyun kartey hain
                  Moulah ne khuld sajaaya hai milaad ka mosam aaya hai

                  Sarkaar ke amad par rab ne apni kudrat dhiklahee hai
                  Rehmat ka meena barsaaya hai milaad ka mosam aaya hai

                  Kalyion kalyion par jowban hai poolho poolho par jowban hai
                  Ghuncha ghuncha muskaaya hai milaad ka mosam aaya hai

                  Kurbaan Haleema me tujh par hain tere ghodee main sarwaar
                  Ye kesa mukadar payaa hai milaad ka mosam aaya hai
                  Hadrat Anas Radi ALLAH Taala Anhu reported that the Messenger of Allah Peace And Blessings Be Upon Him has said, “Everything has a heart, and the heart of the Qur’an is Yasin. Allah records anyone who recites Yasin as having recited the Qur’an ten times.”
                  [Sunan Tirmidhi, Vol 2, Page 116 - Sunan Daarimi, Vol 2, Page 336]

                  Comment

                  • #54
                    Milaad Ki Rattiya Dhoom Yay Thhi Ik Raaj Dulaara Aawat He

                    Milaad ki rattiya dhoom yay thhi ik raaj dulaara aawat he
                    Lolaak ka sayhra sar so he wo ahmad pyaara aawat he

                    Huron nay kaha jab ! ghilmaan nay pukaara illal lah!
                    Khud rab nay kaha masha allah mahbub hamaara aawat he

                    Jibreel e amiin yay kehtay chalay eh arshiio tumray bhaag jagay
                    Tazeem ko sab ho jaa-o kharray sardaar hamaara aawat he

                    Yaseen ki chamak he daatan mayn taahaa ka karishma aanghan mayn
                    Walfajr ka jalwa gaalan mayn wo arsh ka taara aawat he

                    Maazaagh ka kajla nein bharay washamss ka battna mukh pay malay
                    He meem ka gonghatt sayhray talay wo rab ka sanwwaara aaat he

                    Dharti say milaa aafaq charrha mumtaaz yay ghal thha chaaron taraf
                    Lo haq say milnay sallay ala sardaar hamaara aawat he
                    Hadrat Anas Radi ALLAH Taala Anhu reported that the Messenger of Allah Peace And Blessings Be Upon Him has said, “Everything has a heart, and the heart of the Qur’an is Yasin. Allah records anyone who recites Yasin as having recited the Qur’an ten times.”
                    [Sunan Tirmidhi, Vol 2, Page 116 - Sunan Daarimi, Vol 2, Page 336]

                    Comment

                    • #55
                      Mowla Ya Salli Wasallim Daaeman Abadan
                      Hadrat Anas Radi ALLAH Taala Anhu reported that the Messenger of Allah Peace And Blessings Be Upon Him has said, “Everything has a heart, and the heart of the Qur’an is Yasin. Allah records anyone who recites Yasin as having recited the Qur’an ten times.”
                      [Sunan Tirmidhi, Vol 2, Page 116 - Sunan Daarimi, Vol 2, Page 336]

                      Comment

                      • #56
                        Mujh pe mowla ka karam hai

                        Mujh pe mowla ka karam hai unki naatein parta hoon, daaman apna rab ki rahmat se me har dam barta hoon

                        Me sadqe ya rasoolallah
                        Me sadqe ya habiballah

                        Dhoom unki naathani ki machate jaye gai
                        Ya rasoolallah na nar'ah lagate jaye gai

                        Naathani mowt bhi hamse churah sakhti nahi
                        Qabr me bhi mustafa ke geet gate jaye gai

                        Mujh pe mowla ka karam hai
                        unki naatein parta hoon, daman apna rab ki rahmat se me har dam barta hoon

                        Me sadqe ya rasoolallah
                        Me sadqe ya habiballah

                        Kiyi guftagu ho lab par tera naam aagaya hai
                        Tera zikhar karte karte yeh maakam aagaya
                        Jise pike shehsaadi balagal ullah pukare
                        Mere daast natawa me wohi jaamp aagaya hain

                        mujh pe mowla ka karam hai
                        Unki naatein parta hoon, daman apna rab ki rahmat se me har dam barta hoon

                        Me sadqe ya rasoolallah
                        Me sadqe ya habiballah

                        Saadaye durood-o-ke aati rahe
                        Jine sun kar dil shaad hota rahe
                        Khuda ahle- sunnat ko aabad rake
                        Muhammed ka milad huta rahe ga

                        Me sadqe ya rasoolallah
                        Me sadqe ya habiballah

                        Jitna diya sarkar ne mujh ko
                        Utni meri ouwkat nehi
                        Yeh tu karam hai unka
                        Verna mujh me tu assi baat nehi

                        Aaare goor tu kar sarkar ki tuj par
                        kitni haas inaayat hai
                        Kowsar tu hai unka sana khuwan ye mamuuli baat nehi

                        Me sadqe ya rasoolallah
                        Me sadqe ya habiballah

                        Sine me bara hai teri naat-o ka hazaana
                        Aalam me lutata hoon, kamyi tere dar ki

                        Gham nehi choor de ye sara zamaana mujh ki
                        Aare mere aqa hai sine se lagane ke leye

                        Bahshdi naat ki dowlat mere aqa ne
                        Kitna piyaraa hai wasila
                        Sarkar ko paane ke liye

                        Mujh pe mowla ka karam hai
                        Unki naatein prat hoon, daman apna rab ki rahmat se me har dam barta hoon

                        Me sadqe ya rasoolallah
                        Me sadqe ya habiballah
                        Hadrat Anas Radi ALLAH Taala Anhu reported that the Messenger of Allah Peace And Blessings Be Upon Him has said, “Everything has a heart, and the heart of the Qur’an is Yasin. Allah records anyone who recites Yasin as having recited the Qur’an ten times.”
                        [Sunan Tirmidhi, Vol 2, Page 116 - Sunan Daarimi, Vol 2, Page 336]

                        Comment

                        • #57
                          Mujhe Bhi MADINAY Bulaa Mere Mowla

                          Mujhe bhi MADINAY bulaa mere mowla

                          Hamay bhi MADINAY bula mere mowla

                          Karam kee thajalee dikhaa mere mowla

                          Sab pareay....

                          Hamay bhi MADINAY bula mere mowla

                          Karam kee thajalee dikhaa mere mowla

                          Mujhe bhi MADINAY bulaa mere mowla

                          Karam kee thajalee dikhaa mere mowla

                          Bohoth bay kararee kay alam main hoo main

                          Mayree bay kararee mitaa mere mowla

                          Hamay bhi MADINAY bula mere mowla

                          Karam kee thajalee dikhaa mere mowla

                          Nigahow say pinhaa jo manzil mayree hain

                          Kyoun majdhar may naow mayree pasee hain

                          Hatha oo kaa maraa bhi palay gaa sahil

                          gar abid kay dil may samaa mere mowla

                          Hamay bhi MADINAY bula mere mowla

                          Karam kee thajalee dikhaa mere mowla

                          Mujey bi Madiney bula merey Mowla

                          Karam ki thajali dikha merey Mowla

                          Bohoth bekarari key alaam mey hu mey

                          Meri bekarari mita merey Mowla

                          Sunaah hai Madina karam hi karam hai

                          Thu rakhtha jahan mey sabhi ka bharam hai

                          Thujey vasthaa therey pyarey Nabi ka

                          Meri bhigari aab thow bana merey Mowla

                          Jisey thuney chaha mey uspey fidha hu

                          Mey Therey Muhammad key Dhar ka ghada hu

                          Thujey vaastha syeda Fatimah ka

                          Mujey har balah sey bacha merey Mowl
                          Hadrat Anas Radi ALLAH Taala Anhu reported that the Messenger of Allah Peace And Blessings Be Upon Him has said, “Everything has a heart, and the heart of the Qur’an is Yasin. Allah records anyone who recites Yasin as having recited the Qur’an ten times.”
                          [Sunan Tirmidhi, Vol 2, Page 116 - Sunan Daarimi, Vol 2, Page 336]

                          Comment

                          • #58

                            Mujey har balah sey bacha merey Mowla
                            Hadrat Anas Radi ALLAH Taala Anhu reported that the Messenger of Allah Peace And Blessings Be Upon Him has said, “Everything has a heart, and the heart of the Qur’an is Yasin. Allah records anyone who recites Yasin as having recited the Qur’an ten times.”
                            [Sunan Tirmidhi, Vol 2, Page 116 - Sunan Daarimi, Vol 2, Page 336]

                            Comment

                            • #59
                              Noor Wala Aya Hai

                              Noor Wala Aya Hai
                              Noor Lay kar Aya Hai
                              Sara Alam May Yah Dekho Kaisa Noor Chaya Hai

                              ]Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA RASOOLALLAH
                              Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA HABIBALLAH

                              Jab Talak Yah Chand Tara Jheel Meelata Jayanga
                              Tab Talak Jasna Wiladat Hum Manata Jayanga

                              Noor Wala Aya Hai
                              Noor Lay kar Aya Hai
                              Sara Alam May Yah Dekho Kaisa Noor Chaya Hai

                              Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA RASOOLALLAH
                              Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA HABIBALLAH

                              Naata Mahbooba KHUDA Sunta Sunata Jayanga
                              YA RASOOLALLAH Ka Nara Lagata Jayanga

                              Noor Wala Aya Hai
                              Noor Lay kar Aya Hai
                              Sara Alam May Yah Dekho Kaisa Noor Chaya Hai

                              Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA RASOOLALLAH
                              Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA HABIBALLAH

                              Char Janib Hum Diya Ghee Kay Jalata Jayanga
                              Ghar Toh Ghar Sara Mohalla Ko Sajata Jayanga

                              Noor Wala Aya Hai
                              Noor Lay kar Aya Hai
                              Sara Alam May Yah Dekho Kaisa Noor Chaya Hai

                              Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA RASOOLALLAH
                              Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA HABIBALLAH

                              Eid a Milad-Un-NABI Ki Shab Charaga Kar Kay Hum
                              Kabr a NOOR-A-MUSTAFA Say Jagmagata Jayanga

                              Noor Wala Aya Hai
                              Noor Lay kar Aya Hai
                              Sara Alam May Yah Dekho Kaisa Noor Chaya Hai

                              Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA RASOOLALLAH
                              Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA HABIBALLAH

                              Tum Karo Jasnay Wiladat Ki Kushi May Roshni
                              Woh Tumhari Gor-A-Teera Jagmagata jayanga

                              Noor Wala Aya Hai
                              Noor Lay kar Aya Hai
                              Sara Alam May Yah Dekho Kaisa Noor Chaya Hai

                              Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA RASOOLALLAH
                              Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA HABIBALLAH

                              Hashr May Zayra Livay Hamd-A-ATTAR Hum
                              Naat-E-SULTANA MADINA Gongunata jayanga

                              Noor Wala Aya Hai
                              Noor Lay kar Aya Hai
                              Sara Alam May Yah Dekho Kaisa Noor Chaya Hai

                              Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA RASOOLALLAH
                              Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA HABIBALLAH
                              Hadrat Anas Radi ALLAH Taala Anhu reported that the Messenger of Allah Peace And Blessings Be Upon Him has said, “Everything has a heart, and the heart of the Qur’an is Yasin. Allah records anyone who recites Yasin as having recited the Qur’an ten times.”
                              [Sunan Tirmidhi, Vol 2, Page 116 - Sunan Daarimi, Vol 2, Page 336]

                              Comment

                              • #60
                                Pegham Saba Laye Hai Gulzar-e-Nabi Se

                                Pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se
                                aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se

                                her aah gaye arsh pe ye aah ki kismat
                                her ashk pe aik khuld hai her ashk ki qeemat
                                tohfa ye mila hai sarkar-e-nabi se
                                ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se

                                darbare-nabi se

                                bhaati nahi humdum mujhe jannat ki jawaani
                                sunta nahi zahid us mein hooron ki kahani
                                ulfat hai mujhe sayaa-e-deewar-e-nabi se
                                ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se

                                darbare-nabi se

                                irfan ki kasak khulq ki mai sabr ka saagar
                                kiya lutf mila kerta hai jo dete hein sarwar
                                ye pooch le aake koi beemar-e-nabi se
                                aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se

                                darbar-e-nabi se

                                pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se

                                Working...
                                X